Ek ladki hain geet Jaise
Ek ladki hai Geet jaisi
Apni zindagi apne usulo par jeeti par, Khud se itna pyaar karti hain aur usse jyada pyaar apne, apno se karti hain.. Wo na apni zindagi ke har ek lamhe ko khul ke jeeti hain, na aane wale kal ki fikar karte hain na kya peche reh gaya uske bare me sochti hain.. Bs apna aaj jiya karti hain, mana bolti bahut hain bina kuch soche jo mann ne aaya bs bol diya, par dil ki bahut saaf hain, Nahi sochti hain ki kon kya sochega uske bare me. Mana nahi samjhta usse har koi. Par jab koi samajh leta hain. wo zindagi ka matlab samajh leta hain, vese to uski khubsurati wo khud hain par usse aur khubsurat usse uska jeene ka tarika banata hain.. Wo apne aaj me itna jee leti hain jese aana wala kal hain hi nhi.. beete huye kal ko chhod kar ya aane wale kal ko itna nhi sochti, wo to bs apne aaj me jeeti hain
kheti hai mujhe kal
kahi dikhta nahi aur aaj ko me khona chahti nahi.
Ek ladki hai Geet jaisi
Comments
Post a Comment